Thursday, April 29, 2010

Dhundo gey agar mulkon

Dhundo gey agar mulkon mulkon, milnay ke nahien nayab hain ham.
Tabeer hai jis ki hasrat-o-gham, ay humnafaso woh khwab hain ham.


Ay dard bata kuch tu hi pata, ab tak ye muamma hal na hua;
Hum mein hai dil-e-betaab nihan, ya ap dil-e-betaab hain ham.


Main hairat-o-hasrat ka mara, khamosh khara hoon saahil par;
Darya-e-muhabbat kehta hai, "Aa kuch bhi nahien payab hain ham."


Laakhon hi musafir chaltay hain, manzil pay puhanchtay hain do aik;
Ay ehl-e-zamana qadar karo, nayab na hoon kamyaab hain ham.


Murghan-e-qafas ko phoolon ne, ay ‘Shad’ ye kehla bheja hai;
Aa jaao jo tum ko aana ho, aesay mein abhi shadab hain ham.

(Poet: Shad Azeemabadi (real name Syed Ali Mohammed))